Wednesday 7 February 2018

EMAIL ID BLOCK OR UNBLOCK KAISE KARE

Agar aap ek Gmail user ho toh apne dekha hoga ki Gmail par har roj na jane kitne Spam aur Promotions mail aate hai. Aise bekar ke emails kisi kam ke nehi hote, sirf aapke indox ko full karte rehta hai. Meri Email id pe aise Spam mail itna sara aata tha ki kabhi kabhi main apni Important emails ko bhi miss kar deta tha. Is wajah se muje kafi nuksan uthana pada. Mein nhi chahta ki aise Spam mails ke wajah se aapko bhi nuksan ho, is liye is article me mein aapko Email Id Block Karna Sikhaonga. Agar aap kisi email id ko block kar dete ho toh us Email id se aapko kyi bhi e-mail nehi aayega. Gmail me email id block karne ke sath sath yeha pe main aapko Email id unblock karna bhi sikhaonga. Taki kabhi jaroorat padhne par aap us Email id ko Unblock bhi kar payo. Toh friends Gmail par kisi Email Id Ko Block aur Unblock karne ke liye is article ko last tak read kare.
Gmail google ki ek free service hai is liyea Gmail par Span mail  kuch jayada hi  aate hai.
Is wajah se Gmail aapne users ko Mail id block karne ka feature bhi deta hai. Is block feature ko use karke aap kisi bhi E-mail id ko block kar sakte ho aur jaroorat padne par aap usko unblock bhi kar sakte ho.  Aapko shayad vishwas nhi hoga lekin maine aapni Gmail par 200 se bhi jayada Spam aur Promotions E-mail id ko block karke rakha hai.


Kabhi hume kuch aise sar phire log mil jate hai jo hume bina kisi karan ke galiya likhkar E-mail send karte rehta hai. Aise logo ki Gmail id block karke aap unke E-mails se bach sakte ho. Apne kabhi notice kiya hai ya nhi muje nhi pata lekin mein aapko batana chahta hu ki jab bhi aap apni E-mail id ko use karke kisi website par Account create karte ho tab woh website aapko important Update aur Product promotions mails send karta hai. Kabhi kabhi ye E-mail bahut kaam ka hota hai aur kuch kuch case me yeh bahut irritating hi hota hai. Agar aapko kuch websites ke update ki jaroorat nhi hai toh aap unke E-mail I'd ko block karke rakh sakte ho. Email address block karne ki puri process niche details me bataya hai :-



Email Id Ko Block Aur Unblock Kaise Kare

Yeha pe mein aapko mobile se E-mail id block aur unblock karke dikhaunga ( दिखाऊगा ). Mobile me jo Gmail App hota hai us par E-mail id block aur ublock karne ke liye niche process ko follow kare :-


Email Id Block Karne Ka Tarika

Step-1:- Gmail par kisi Email id ko block karne ke liye aapko mobile ke Gmail App par jana hai aur us vakti ke Email ko open karna hai jisko aap block karna chahte ho. Ex- maan lijiye ki aapko Google Alearts  Email id ko block karna hai toh aap uss email ko Open kijiye.




Step-2:- Email ko open karne ke baad  aapko upar right corner mai vertical three dots ( ፧ )  pe click kijiye. Niche aap screenshot pe dekh sakte ho.




Step-3:-   pe click karte hi kuch options show hoga. Sabse niche  Block "Name ka option hoga uspe click kar dijiye.



 


Block pe click karte hi woh Email id block ho jayega.




Email Id Ko Unblock Kaise Kare

Step-1:- Gmail par kisi email id ko Unblock karne ka tarika block karne jaisa hi hai. Email Id ko unblock karne ke liye aap uske Email ko open kijiye jisko aap unblock karna chahte ho. Agar aapko uske emails nhi mil raha he toh aap 🔍(search) pe click karke uske Name/Email Id dal kar  Mail ko khoj sakte ho.


Step-2:- Email ko open karte hi aapko ek Massage dikhai dega-  Your blocked Email@id.com ........... . Is massage ka matlab hai ki aapne is Email id ko block kar rakha hai. Isko Unblock karne ke liye aapko ፧  pe click karke   Unblock "Name pe click karna hai.




Unblock pe click karte hi woh E-mail Id phir se unblock jo jayega aur ab woh vakti aapko email send kar payega.


Toh friends is article me meine aapko Email Id Block Kaise Karte Hai iske bare me bataya hai. Muje ummid hai ki is article ko padhkar aap bahut asani se kisi Email id ko block kar payoge. Phir bhi agar aapko koi problems aati hai toh niche comment karke bataye ya hume sicial media par contact kre , main aapki help karne ki puri koushis karunga. 



Related Themes